Thursday, August 4, 2011

Shayari from zindagi na milegi dobara



Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai




Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai



Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen
Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan
Aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya



Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhe yeh nigaahein
Jo apni aankhon mein hayraniyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho, toh zinda ho tum.